Khud ko bechaara main
kehta raha…
Asliyat hamesha duur
bhaagta raha…
Zamaane ne aadat
dilayi tulna ki…
Zamaane ko hi hamesha
kosta raha.
Bachpan ki aadat
jawani tak aa gyi..
Apne aap ko main aur
chhota aur kamzor banata rha..
Main samjha tha sabko
waqt dena insaniyat hai shayad..
Dhokha tha, haqeeqat
samajhke jeeta rha.
Kal ki fikar karne ki
aadat ek bimari si ban gyi hai..
Apne ghamon ke farzi
bojhey ko uthaate uthaate thak chuki hai..
Pata nhi kyu khush
rehna mushkil sa ho gya hai..
Hasi ke mukhotey ko
pehne rehna aadat si ho gyi hai..
Main jaanta hu ki mere
chahne na chahne se duniya nhi chalegi…
Main jaanta hu ki mere
jaane se ye duniya rukegi nhi…
Main jaanta hu ki mere
chahnewale meri is baat ko manenge nhi..
Main jaanta hu ki meri
zindagi keemti hai hi nhi…
Kaha jaaun, kya karu,
kis kis ko apna bekar sa dukhra sunau,
Kaun sunega apni
zindagi ke mashakkaton ko nazarandaaz karke,
Kaun sunega aisi
sharmnaak kisson ko,
Kaun sunna chaahega
meri bekar si zindagi ke dukhdon ko,
Kyu sunega koi? Kya
kiya hai maine unke liye? Kyu chahta hu main unka tawajjo?
Aisa to nhi hai ki
mere maa baap ne mujhe kuch karne se roka,
Apni manmani karne se
toka,
Apne tareeke se
zindagi jeene ki aadat ko galat kha,
Apne aish-o-aaram ko
chhorkar unke dekhbhaal ke liye kaha..
Par ab jab apni
galtiyon ka ahsaas hota hai,
To yehi ahsaas hota
hai,
Ki maine na to ek
accha beta, bhai, dost, student, colleague ya padosi ka kirdar nibhaaya hai,
Shayad meri aankhon ke
saamne pardah hai,
Shayad ye meri
galatfehmi hai…
Shayad
ye main nhi hu, fir bhi haqeeqat to yehi hai.