Sunday, April 7, 2024

Khud ko…

 Khud ko bechaara main kehta raha…

Asliyat hamesha duur bhaagta raha…

Zamaane ne aadat dilayi tulna ki…

Zamaane ko hi hamesha kosta raha.

 

Bachpan ki aadat jawani tak aa gyi..

Apne aap ko main aur chhota aur kamzor banata rha..

Main samjha tha sabko waqt dena insaniyat hai shayad..

Dhokha tha, haqeeqat samajhke jeeta rha.

 

Kal ki fikar karne ki aadat ek bimari si ban gyi hai..

Apne ghamon ke farzi bojhey ko uthaate uthaate thak chuki hai..

Pata nhi kyu khush rehna mushkil sa ho gya hai..

Hasi ke mukhotey ko pehne rehna aadat si ho gyi hai..

 

Main jaanta hu ki mere chahne na chahne se duniya nhi chalegi…

Main jaanta hu ki mere jaane se ye duniya rukegi nhi…

Main jaanta hu ki mere chahnewale meri is baat ko manenge nhi..

Main jaanta hu ki meri zindagi keemti hai hi nhi…

 

Kaha jaaun, kya karu, kis kis ko apna bekar sa dukhra sunau,

Kaun sunega apni zindagi ke mashakkaton ko nazarandaaz karke,

Kaun sunega aisi sharmnaak kisson ko,

Kaun sunna chaahega meri bekar si zindagi ke dukhdon ko,

Kyu sunega koi? Kya kiya hai maine unke liye? Kyu chahta hu main unka tawajjo?

 

Aisa to nhi hai ki mere maa baap ne mujhe kuch karne se roka,

Apni manmani karne se toka,

Apne tareeke se zindagi jeene ki aadat ko galat kha,

Apne aish-o-aaram ko chhorkar unke dekhbhaal ke liye kaha..

 

Par ab jab apni galtiyon ka ahsaas hota hai,

To yehi ahsaas hota hai,

Ki maine na to ek accha beta, bhai, dost, student, colleague ya padosi ka kirdar nibhaaya hai,

Shayad meri aankhon ke saamne pardah hai,

Shayad ye meri galatfehmi hai…

Shayad ye main nhi hu, fir bhi haqeeqat to yehi hai.

No comments:

Post a Comment